Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak 20

Idhar Jay ki to jaise duniya hi ujad gayi. Ab padhai mein uska man nahin lag raha tha. Na kahin aana, na kahin jaana. Pehle to Jawed Bhai ke paas chala jaata tha shaam ko khelne ke liye thodi der par ab to wo bhi nahin tha. Jawed Bhai ne bhi dhyaan nahin diya. Isi tarah karte karte teen paper nikal gaye aur Jay ke ye teen paper bahut kharab gaye. Ab saara din devdas bana rahega to padhai kahan se hogi, aur padhai nahin hogi to paper achha kahan se hoga. Jawed Bhai ko bhi kuch shanka huyi ki jaroor daal mein kuch kaala hai. Ek do baar mulakat huyi bhi Jay se lekin ye Jay ab pehle wala Jay nahin raha tha. 


 

To aakhir Jawed Bhai ne Jay se baat karni chahi is baare mein. Aur wo ek shaam pahunch gaye Jay ke ghar mein.



Jay apne kamre mein band Sonali ke khyaalon mein khoya hua tha aur reh reh kar yaad kar raha tha ki usne aisa kya gunah kiya jiski saja use mili. Kya pyaar karna koi jurm hai, kya pyaar mein doob jaana ek gunah hai. Agar hai to duniya mein koyi kisi se kabhi pyaar nahin karega. Kabhi koi kisi se pyaar na kare.

 

Aise hi apne aap ko koste huye aur apne aap se baatein karte huye Jay dard bhari shayari bolne laga (Ho sakta hai usne kabhi padhi ho yaa khud banayi ho, jo bhi ho jab kisi ka dil tootta hai to aisi hi halat ho jaati hai). Wo baar baar yahi samajh raha tha ki Sonali ab bhi usse bahut pyaar karti hai aur wo bhi uske liye tadap rahi hogi lekin majbur hai. Ab bechare Jay ko kya pata ki Sonali kya khel khel rahi hai uske saath. Jay ko kahan pata tha ki Sonali se use dhokha diya hai.

 

Haal-e-dil unka main bayan karta hoon 

Khuda honsla de unko yehi dua karta hoon

Duniya ke saamne wo bhale hi hamein bhulati hogi 

Magar tanhai mein hamein kabhi yaad to karti hogi 

Pehle sitamgar banker kiya dil ko jakhmi

Ab yaad karke apne sitam aankhon se ashk bahati hogi 

Jo di thi humne unko apne pyaar ki nishani

Dekh dekh us nishani ko, apne seene se lagati hogi 

Jaise hum jaagte hain raat bhar yaad karke unke pyaar, unke sitamo ko

Waise khwaab hamare bhi kabhi kabhi unhein jagate honge 

Khat kai likhe usne apne lahoo ko syahi lagakar

Un sab khaton ko wo ab logon se to chupati hogi 

Us par bhi asar jaroor hoga yaaron meri diwangi ka 

Jo likh kar naam mera baar-baar mitati hogi

Hota na hoga jab kabhi deedar hamara unki nigahon ko 

Na jaane phir kaise apne dil ko wo samjhati hogi

Majburiyan ban gayi ho chahe bandishen hamare pyaar mein 

Yakinan wo mujhse milne ko kadam to badhati hogi 

Malum hai hamein rota hoga bahut tab dil unka bhi

Jab unke gharwale rishte ki kahin baat chalate honge 

Yakeen karna mar jayega deewana tab zehar khakar 

Jab unke haathon mein sab mehndi laga rahe honge

Idhar janaja sajega mera, rote mujh par mere yaar honge 

Udhar khushi se sab unki doli sajate honge

Chaar kandhon par uthega janaja mera us waqt yaaron 

Jab uski doli ko kahar hanste huye uthate honge


 

Jawed Bhai jab andar aa rahe the to Jay ki awaaz unke kaanon par padi aur wo wahin darwaje par ruk gaye. Jab poora sher khatam ho gaya to Jawed Bhai taliyan bajate huye andar aaye aur bole “Bahut khoob Jay, mujhe malum nahin tha ki tum itni achhi shayari kar lete ho. Apne doston se ye talent tumne chupa kar rakha tha. Bahut galat baat hai ye” 

 

 “Are nahin Jawed Bhai bas ek kavita padhi thi kahin use hi gunguna raha tha. Aap sunaiye kaise aana huya”.

 

 “To ab kya mujhe tere paas aane ke liye kisi kaaran ki jarurat padegi. Tujhse waise hi milne nahin aa sakta kya”

 

 “Are nahin nahin Jawed Bhai kaisi baatein karte ho. Aap meri baat ka galat matlab nikal baithe. Mera kehne na ye matlab nahin tha”

 

 “Are yaar main majak kar raha tha. Kyun tension le raha hai. Achha ye bata aajkal practice mein bhi kabhi nahin aata. Haan pata hai papers mein busy hai lekin itna bhi busy hona theek nahin ki apne doston ko bhool jaye.”

 

 “Aisa kuch nahin hai Jawed Bhai. Bas samay hi nahin mil paya” Aur ye kehte kehte Jay ki aankhen nam ho gayi. Aage wo kuch bhi bol na saka. Jawed Bhai uski manodasha samajh gaye aur uske kandhe par haath rakhte huye kaha “Yaar Jay mujhe nahin batayega kya baat hai. Itna dukhi kyun hai. Kya tumhara aur Sonali ka breakup ho gaya hai.”



Jawed Bhai ke itna bolte hi Jay phoot phoot kar rone lag gaya aur Jawed Bhai ke gale se lag kar bahut der tak rota raha. (Jab koi apna mil jaata hai jisse hum dukh baat saken to aksar aise haalat paida ho jaate hain ki aap kitni bhi koshish kar lo apne aansuon ko rok nahin payoge. Aansu apne aap raasta bana lete hain aankhon se nikalne ka)

 

Thodi der baad jab Jay chup huya to Jawed Bhai ne Jay se dubara poocha. Jay ne saari baatein Jawed Bhai ko bata di ki kaise Sonali use ignore kar rahi thi aur jab baatein huyi to kaise Sonali ne use bataya tha ki uski shaadi hone wali hai.

 

Jawed Bhai kuch der to sochte rahe aur phir khade hote huye kaha “Jay ye to bahut na-insaafi huyi hai tere saath aur Sonali ka to sabse jyada bura haal hoga is samay. Tu to fir bhi mujhe ya apne kisi ajeez ke saath gham baat sakta hai lekin wo bechari to ghut ghut kar jee rahi hogi. Jaane us bechari ke dil par kya gujar rahi hogi.




Hum to fir bhi ek mard hain. Apna dard seh lenge yaa doston se baant lenge lekin wo kya kare. Mujhse to suna hi nahin jaa raha ye sab aur tu khamoshi se sab seh raha hai.”

 


 “Main aur kar bhi kya sakta hoon” Jay ne mayusi bhare lahze mein kaha. Apni aansuon se bhari palkein upar uthate huye Jay ne Jawed Bhai ki taraf dekha.

 

“Tu bilkul bewkoof hai. Bhala koi apne pyaar ko aise hi haath se jaane deta hai. Sonali aur tu dono ek doosre se sachha pyaar karte hain. Phir yun bemaut kyun mar rahe ho. Utho aur apne pyaar ke liye lado.

 

 “Main kuch samjha nahin Jawed Bhai. Aap kehna kya chahte hain.”



 “Main bas itna keh raha hun ki yun aansu bahane aur sad songs sunne gaane se kya ye gham halka ho jayega. Kya tujhe Sonali wapas mil jayegi. Main to kehta hoon ki tujhe usse aur uske gharwalon se baat karni chahiye. Ho sakta hai hamari koshish rang la jaaye. Devdas bana to tu waise hi ghum raha hai lekin kam se kam hamein baad mein is baat ki takleef to nahin hogi ki humne koshish nahin ki”

 

 “Jawed Bhai mujhe dar lag raha hai. Main unhe jaanta nahin hun aur upar se wo ameer hain aur hum gareeb. Sonali bata rahi thi ki uske papa bahut gusse wale hain. Gusse mein pata nahin kya se kya karden”

 

 “Yaar tu bada darpok hai. Tu pyaar karta hai na Sonali se aur shaadi karna chahta hai na usse”

 

 “Haan par”

 

 “Ab ye par war chod aur jaisa main kehta hun waisa kar”

 

 “Theek hai Jawed Bhai jaisa aap kahenge main waisa hi karunga lekin phir bhi”

 

 “Abe ghabrata kyun hai. Main hoon na tere saath. Chal ye bata uski shaadi kab ki fix kari hai uske gharwalon ne”

 

 “Paper khatam aaj ho gaye hain. Ab jaldi hi shaadi kar denge. Ab wo school kabhi nahin aayegi.” Aur ye kehte kehte Jay ki aankhen bhar aayi. (Ye to sabko pata hai ki jab dukh ho to aansu khud hi behne shuru ho jaate hain lekin jab koi sahara deta hai to jo aansu sookh chuke hote hain unmein bhi sailab umad padta hai) Wo to Jawed Bhai ne sambhal liya warna wo ro padta.

 

 “Uska ghar kahan par hai.”


 

 “Pata nahin”

 

 “Koi phone number, koi aur tareeka contact karne ka jaante ho”

 

 “Nahin kabhi jarurat hi nahin padi”

 

 “Kis gadhe se pala pada hai. Pyaar karne chala hai aur apni premika ka kuch ata pata hi nahin pata ise.”

 

Jay ab kya bole. Khud ko kos raha tha kyunki Jawed Bhai sach hi to keh rahe the. Use Sonali ke ghar ka number le lena chahiye tha. Aur nahin to kam se kam door se hi ghar to dekh hi aata. Wo kehte hain na “Ab Pachtaye hot kya, Jab chidiya chug gayi khet” wali kahawat Jay par satik baith rahi thi.

 

Dono ke man mein jaise ek ummed hilore maarne lagi thi theek waise hi wahan kabristan mein faila huya sannata cha gaya. Dono gehri soch mein doob gaye ki aage kya kare, kaise kare. Koi raasta hi dono ko najar nahin aa raha tha. 

 

Jay ne to soch hi liya tha ki ab wo Sonali se kabhi nahin mil payega lekin Jawed Bhai mein use ummed ki ek kiran dikhai di thi lekin ab wo bhi dhundhli padti jaa rahi thi.

 

Tabhi achanak Jay ko kuch yaad aaya aur wo khushi se uchal pada.



To be continued....

   20
15 Comments

Kareem

13-Jan-2022 08:34 PM

Wow

Reply

Ramsewak gupta

13-Oct-2021 09:55 AM

बहुत खूब

Reply

Swati chourasia

12-Oct-2021 07:27 PM

Very beautiful 👌

Reply